Wednesday, 24 April 2013

Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pee Ka Naam lyric


Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pee Ka Naam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
apne man ki main jaanoon aur pee ke man ki Raam

yehi meri bandagi hai yehi meri pooja
sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

ek ka sajan mandir main ek ka preetam masjid main
aur mein sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

papeehay oh papeehay tu yeh kiyoon aanso bahaata hai
zubaan pe teri pee pee kis liyeh reh reh ke aata hai
sadaye dard o gham kiyoon ddardmandoon ko sunata hai
jo khudhi jal raha hoon aur kiyoon us ko jalaata hai

kaatoon tori choonch paheeha raam daroon pe loon
mein pee ki aur pee mora tu pee kahay hai kaun

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam Aaa
sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

her qismat ke haath hein kiss bandhan ki laaj
mein ne tou bandhan likh diya sawarya ke naam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam Aaa
sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

mein pee ki morat ko poojoon
mein pee ki suurat ko poojon

pe ke naam kahoon mein pujari naam pee ka
her saans mein wari simroon mein pee ka naam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
hum aur nahi kacho kaam ke matware pee ke naam ke


sajni baati kab likhoon jo preetam ho pardes
tan mein mun mein piya basay bhejon kisay sandes mein

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

her her mein hai her basay, her her ko her hai her ki aas
her ko her her dhoond phiri, aur her hai more paas

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam Vocables
sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

deen dharam sub choor ke mein to pee ki dhun mein sud bud khoyi
chit jaaon gun pee pee ke gaaon aur nahi koi doja kaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
apne mun ki mein jaanon aur pee ke mun ki raam

prem ke rung mein aisee doobi, bun gaya aik hee roop
prem ki mala japte japte aap bani mei shyaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
prem ki mala japte japte aap bani mei shyaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

aisee dobi prem ke rung mein

aa piya in nainan mein jo pankh daanp ohe nu
na mein dekhon ghair ko na tohay dekhan doon

aise doobi prem ke rung mein

preetam hum tum aik hein, jo kehen sunan mein do
hum tum aik hein preetam hum tum aik hein

mun ko mun se toliyah aur to mun qubool na ho

aise doobi prem ke rung mein

preetam tumre sung hai apna raaj suhaag
tum naahi to kacho nahi tum mile to jaage bhaag

aise doobi prem ke rung mein

augan pooja paat tajay aur laga prem ka roug
preetam ka bus dheyan rahay yehi hai apna joob

aise doobi prem ke rung mein

haath churawat jaat ho, jo nirmil jaan ke mohe
hirde mein se jaawat ho tab mein jaanon tohe

aise doobi prem ke rung mein

doobi doobi doobi aise doobi prem ke rung mein

her dam dekho mora peharwa sadarahat more ghar naahi
ander baahir aap wohi hai mein naahen mein naaheen

aise doobi prem ke rung mein

joganya ka bhes bana ke pee ko dhondan jaaon ree
nagri nagri dwaare dwaare pee ki shabad sunaon gi
taras bikhari jag mein ho ke darshan bhichya paaon gi
tan mun un per waroon pee ki joganya kehlaoon ree

aise doobi prem ke rung mein

prem ke rung mein aise dobi bun gaya aik he roop
prem ki maala japte japte aap bani mein shayaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
prem ke rung mein aise dobi bun gaya aik he roop

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

preetam ka kuch dosh nahi hai, wo to hai nirdosh
apne aap se baatein ker ke hoo gayi mein badnaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
apne aap se baatein ker ke hoo gayi mein badnaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

prem piyala jab se piya hai, jee ka hai yeh haal
deedar pe neend aa jaye kaanton pe aaram

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

jeevan ka sanghar hai preetam, maang ka hai sandoor
preetam ki nazroon se gir ker jeena hai kiss kaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
preetam ki nazroon se gir ker jeena hai kiss kaam

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam
apne man ki main jaanoon aur pee ke man ki Raam...

sanson ki mala pe simroon main pee ka naam

No comments:

Post a Comment